TEKST PIOSENKI ZINDAGI KYA HAIW WYKONANIU JAGJIT SINGH
Aadami bulbula hain paani ka
Aur paani ki behati satreh par
Tut ta bhi hain dubta bhi hain
Phir ubharta hain phir se behta hain
Na samandar nigal saka isko
Na dawarikh tod paayi hain
Waqt ki moz par sadda behta
Aadami bulbula hain paani ka
Zindagi kya hai jaanne ke liye
Zinda rehna bahot jaroori hai
Aaj tak koi bhi raha to nahin
Saari waadi udas baithi hai
Mausam-e-gul ne khudkashi karli
Kisne barood boya baagon mein
Aao hum sab pehenle aaine
Saare dekhenge apna hi chehra
Sabko saarein haseen lagenge yahan
Hai nahin jo dikhaii deta hai
Aaine par chapa huwa chehra
Tarjumah aaine ka thik nahin
Humko ghalib ne yeh duwa di thi
Tum salamat raho hazar baras
Yeh baras to faqat dino mein gaya
Lab tere mir ne bhi dekhe hai
Pankhari ek gulab ki si hai
Baat sunte to ghalib ho jaate
Aise bikhre hai raat din jaise
Motiyon wala haar tuth gaya
Tumne mujhko pidoke rakha tha.
NAJNOWSZE ALBUMY JAGJIT SINGH (78)
- Pokaż wszystkie