TEKST PIOSENKI MAIN AUR MERI AWARGIW WYKONANIU NUSRAT FATEH ALI KHAN
Phirte hai kab se darbadar
Ab is nagar ab us nagar
Ek dusre ke humsafar
Main aur meri awargi
Na aas na har rehgujar
Na meharba sabki najar
Jaye to ab jaye kidhar
Main aur meri awargi
Phirte hai kab se darbadar
Ab is nagar ab us nagar
Ek din mili ek mahjabi
Tan bhi hasi jaan bhi hasi
Dil ne kaha hamse wahi
Khwabo ki hai manjil yahin
Khwabo ki hai manjil yahin
Phir yun hawa wo kho gayi
Phir mujhko jidd si ho gayi
Layenge usko dhund kar
Main aur meri awargi
Phirte hai kab se darbadar
Ab is nagar ab us nagar
Ye dil hi tha jo sah gaya
Jo baat aisi kah gaya
Kahne ko fir kya rah gaya
Ashko ka dariya bah gaya
Ashko ka dariya bah gaya
Jab kah ke wo dilbar gaya
Tere liye mai mar gaya
Rote hai usko rat bhar
Main aur meri awargi
Phirte hai kab se darbadar
Ab is nagar ab us nagar
Hum bhi kabhi abad the
Aise kaha barbad the
Befikar the azad the
Mashur the dilsad the
Mashur the dilsad the
Wo chal aisi chal gaya
Hum bujh gaye dil jal gaya
Nikle jalake apna ghar
Main aur meri awargi
Phirte hai kab se darbadar
Ab is nagar ab us nagar
Ek dusre ke humsafar
Main aur meri awargi
Na aas na har rehgujar
Na meharba sabki najar
Jaye to ab jaye kidhar
Main aur meri awargi
Phirte hai kab se darbadar
Ab is nagar ab us nagar.
NAJNOWSZE ALBUMY NUSRAT FATEH ALI KHAN (89)
- Pokaż wszystkie