TEKST PIOSENKI MERE DIL KI DUNIYAW WYKONANIU RAHAT FATEH ALI KHAN
Akeli jaan peh jahaan ne hazar zulmm kiye.
kabhi tamasha banaya, kabhi fareeb diye.
Magar malaal na shikwa, na koi parwaah hai.
Mujhe yaqeen hai kafi hai, tu he mere liye.
Woh jo tinka tinka uraa gaen.
Koi Dard-o-Gham ki hawaen thien.
Meri bandagi main thi kiya kami. mere wasty jo sazaen thien.
Meri zindagi main jo dukh likhay? mere Maula kiya wohkhata'en thien.
Jinhain aansu'on main pirooya tha, woh meri adhoori duwaen thien.
Naa meri zameen na mera asmaan, tu apne karam ka dikha de nishaan.
Mere meharbaan, Ay! mere meharbaan. Mere meharbaan, mere meharbaan.
Nahi jal rahy thay diye jahan, wahan ma ne ankhaon jalaa'e hain.
Jahan dhoop tezz thi door tak, wahan ma ne palkain bicha'e hain.
Magar apni sari yeh chahatain, Mujhe raas he nahi ae hain.
Mere apnon ki woh rafakaten jo paraa'e thien woh paraa'e hain.
Ke tu asraa tu mera razdaan, tu apne karam ka dikha de nishan.
Mere meharbaa, mere meharbaan.
Mere meharbaan, mere meharbaan.
NAJNOWSZE ALBUMY RAHAT FATEH ALI KHAN (74)
- Pokaż wszystkie